Showing posts with label hindi. Show all posts
Showing posts with label hindi. Show all posts

Friday, 2 November 2012

Minti Ki Kahani

unnisso sattavan ki kahani hai yeh yaar
ek ladki thi minti jisse sab karte the pyaar

ek dophar woh nikli khelne ke liye bahar
shaam ho gayi par minti vapas na aayi iss bar

uske maa baap ne bahot khoja use bahar
jab minti na mili toh akbar main de diya ishtehar

pareshan maa ghoom rahi thi edhar se udhar
par na aayi minti ki koi bhi khabar

police walo ne bhi kas li thi apni kamar
ghumshuda minti ki phail gayi thi khabar

saare logon ke mooh par thi  bas ek hi baat
bechari minti kaisi hogi bina apne mata pita ke saath

ek din ek admi aaya minti ke ghar
shaayad uske pass thi minti ki kuch khabar

usne minti ke mata pita ko locket dikhaya
jo unhone minti ko tha pehnaya

uss bhale admi ne un dono ko bataya
ke yeh locket usne gandhi sadak par tha paya

yeh dekhar minti ki maa ho gayi aur bhi pareshan
Ke kaun bachayega ab meri bacchi ki jaan

ro ro ke minti ki maa ko ho gaya tha jvar
aakhir woh kaise na karti apni beti ki fikar

ek din achanak minti aa gayi ghar
sab achambe main padh gaye thay edhar

sab ne puche minti se ek hi sawal
itne din tak kisne rakha tera khayal

minti kehti rahi ek aadmi ka naam
na jaane kaun tha woh sajjan insaan

itne saal hogaye iss wakhye ko aaj
na jaane woh kaun tha yeh aaj bhi hai raaz

Sunday, 20 November 2011

Padhai


Soch  liya hai maine ab toh yeh yaar
Padh kar sabko dekha denge issbar

Bachpan main mila hume sab se dular
Ashirvad kamane ki lalach na rahi yaar

Maa ki daath se hoti thi subha
Aur unhi ke pyaar se hoti thi raat

Papa ka pyaar toh tha anmol
Data nahi jab mile ande gol

Didi ne toh ki meri jam ke pitai
Math phir bhi samajh na aaye

Bhayya ne toh chod de saari umeede
Woh kya jaane maine uthai kitne taklife

Sab kehte hai maine nahi ki tyyari
Kya karu mujhe toh apni chutti thi pyaari

Jab exam dene ki aayi baari
Paper dekh kar hawa nikal gayi saari

Dil mera toh hogaya tha bhari
just pass honi ki novbat na aajaaye hamari

ab ki hai maine puri tayyari
dekh lena padungi sab pe bhari

Examiners ho jayenge pareshan
list main sab se ucha hoga humara naam