Tuesday 27 November 2012

WWR


Going to the college is so much fun
But when you are home, here and there you run

Compiling all the work that you need to do
You’re losing your mind thinking what not to do

Worries and work are never ending my friend
But we will give a worry-less smile and we will pretend

But it doesn't end over here my dear friend
You have responsibilities, which you can’t offend.

Now there are three things to do, actually two
Work plus worries and responsibilities too

So substract the worries and focus on work
Don’t listen to your friends’ cause they all are jerks

Now, don’t worry about the responsibilities my dear
Just leave your worries behind and live without fear

Friday 2 November 2012

Minti Ki Kahani

unnisso sattavan ki kahani hai yeh yaar
ek ladki thi minti jisse sab karte the pyaar

ek dophar woh nikli khelne ke liye bahar
shaam ho gayi par minti vapas na aayi iss bar

uske maa baap ne bahot khoja use bahar
jab minti na mili toh akbar main de diya ishtehar

pareshan maa ghoom rahi thi edhar se udhar
par na aayi minti ki koi bhi khabar

police walo ne bhi kas li thi apni kamar
ghumshuda minti ki phail gayi thi khabar

saare logon ke mooh par thi  bas ek hi baat
bechari minti kaisi hogi bina apne mata pita ke saath

ek din ek admi aaya minti ke ghar
shaayad uske pass thi minti ki kuch khabar

usne minti ke mata pita ko locket dikhaya
jo unhone minti ko tha pehnaya

uss bhale admi ne un dono ko bataya
ke yeh locket usne gandhi sadak par tha paya

yeh dekhar minti ki maa ho gayi aur bhi pareshan
Ke kaun bachayega ab meri bacchi ki jaan

ro ro ke minti ki maa ko ho gaya tha jvar
aakhir woh kaise na karti apni beti ki fikar

ek din achanak minti aa gayi ghar
sab achambe main padh gaye thay edhar

sab ne puche minti se ek hi sawal
itne din tak kisne rakha tera khayal

minti kehti rahi ek aadmi ka naam
na jaane kaun tha woh sajjan insaan

itne saal hogaye iss wakhye ko aaj
na jaane woh kaun tha yeh aaj bhi hai raaz